poetry video
Chota Sa Ek Gaon Tha Jis Me
Deye The Kam Aur Bohat Andhera
Bohat Shajar The Thode Ghar The
Jinko Tha Doori Ne Ghera
Etni Badi Tanhaee Thi Jis Me
Jagta Rehta Tha Dil Mera
Bohat Qadeem Firaq Tha Jis Me
Ek Muqarar Had Se Aage
Soch Na Sakta Tha Dil Mera
Aisi Surat Me Phir Dil Ko
Dhiyan Aata Kisi Khwab Me Tera
Raaz Jo Had Se Badh Kar Tha
Apna Aap Dikhata Kese
Sapne Ki Bhi Had Thi Aakhir
Sapna Aage Jata Kese!!!
Deye The Kam Aur Bohat Andhera
Bohat Shajar The Thode Ghar The
Jinko Tha Doori Ne Ghera
Etni Badi Tanhaee Thi Jis Me
Jagta Rehta Tha Dil Mera
Bohat Qadeem Firaq Tha Jis Me
Ek Muqarar Had Se Aage
Soch Na Sakta Tha Dil Mera
Aisi Surat Me Phir Dil Ko
Dhiyan Aata Kisi Khwab Me Tera
Raaz Jo Had Se Badh Kar Tha
Apna Aap Dikhata Kese
Sapne Ki Bhi Had Thi Aakhir
Sapna Aage Jata Kese!!!
DOWNLOAD FREE POETRY BOOKS
ReplyDeleteCLICK HERE NOW
Some word are wrong
ReplyDelete